- Ullu (OWL) ko bura mat kaho ye tasbeeh-e-khuda karta hai is ki tasbeeh Aal-e-Mohammad k dushman pey Lanat bhejana hai (Ref: Anwar-e-Zahra P:184)
- • Ebadat faqat kasrat e namaz o roza nahi bal k tafkur dar amar e ellahi hy.
- • Wajibat ki adaeigi aur gunahon se perhaz eman hai dua nabiyon ka aslaha hay ye hathyar har momin k liya lazim hai.
- • Jo Shaks khuda say jannat ka sawal tu keray lakin mushkilaat anay per sabar na karay tu who apnay ap sey mazzaq karta hai.
- • Behtrin yaadasht yeh hai key insan apni nekiyan aur dosron ki ziyadtiyan bholta chala jaey.
- • Na tum Aal-e-Muhammad a.s ki muhabat k bharosay pey Khuda ki ebadat ko chorna Aur na hi ebadat k bharoay pey Aal-e-Muhammad a.s ki muhabat ko chorna kyun key in mein se kisi aik ko bhi doosaray key baghir Qabool nahi kiya jaye ga. (Bihar-ul-Anwar)
- • Hussain a.s per rona baray baray gunnahon ki bakshish ka sabab hai
- • Insan ki shaksiyat ic ki zuban main poshida hai jab wo guftagoh kerta hai ic ki sakshsiyat numayaan hoti hai
- • Momin ko Momin Dost sey aesy sakoon milta hai jesay paroinday ko apny ghosnlay sy