- Kaisi sy jhagra mat karo warna tmhary chahry ka noor aur husun jata rahy ga.
- • Jo shakhas chahta hai k us ki ezat mehfooz rahy tu larae jhagry sy perhaiz kary.
- • Kasrat-e-mazaak insan ki shakhseat O Haybat ko kam kr dati hai.
- • Tawazo ki aik qism yeh bhi hai k jis k pas sy guzro usay salam karo aur kisi majalis mein jao tu buland tareen jaga talash karny ki bajaye us sy kamtar py bethny k leye tayar ho jao.
- • Momin Duniya sey faida uthatha hai yani Akhirat k liya zad-e-rah hasil kerta hai. Jab key kafir is sey sirf lazzat uthatha hai.
- • Jo Khuda k diye huey rizq ko kafi samjahy wo Zindagi mein kabhi bhi kisi ka mohtaj nahi ho sakhta.
- • Dua jo qabooliyat k yaqeen se mehroon ho qabool nahein hoti (Asool Kafi Jalid # 1 Page # 703)
- • Sardi k moosam sey shuroo main aihtiyat karo aur akhir mein ais ka khair makdam karo key ais ka asar badan per daraktoon key pattoon jaisay hota hai key yeh masoom shuroo main pattoon ko jhulsaa deta hai aur aikhar main shadaab bana deta hai (Nehjul Balagha Page # 675)
- • ALLAH ne ataat per sawab or masiat per azab is liye muqrar ki hai k anpy bando ko azab-o-bala se baz rakhy or bahist ki tar ly jaye
- • Naiki ka matlab ye hai k is say phalay taal matool na ho aur is k akhir mai ahsan na jataya jai ((Guftar Dilnashin P383)