- Bury afraad ki hum nasheeni mojab e badgumani hoti hai.
- • Momin woh nahi jis ki mehfil pak ho balkeh momin woh hai jis ki tanhai pak ho.
- • Logon ko apni zarorat k liya tum sey wabasta hona tum per ALLAH ki nemat hai. In nematon se na ghabrao warna yeh musebaton main badal jain gi.
- • Rozana khuch waqt apni maa k sath beth ker guzara karo kyun k kal qayamat k roz ye waqt tumhari maghfirat ka zariya ban jaaye ga.
- • Bohat sy gunah uzar khuwhi say behter hain.
- • Narazgi aur ghuse kay aalam main kisi chooti bachi k muu per tamacha na marna mujhe meri Sakina S.A yaad ati hai. (Wasiyat Imam Hussain A.S)
- • Achay dost banao kyun k admi ki pehchan us k doston sey hoti hai.
- • Jab bi farig waqt milay tu apni MAA k pas ja key beth jaya karo kyun key maa k sath guzra huwa waqt qyamat k din nijat ka bais bany ga.
- • Jis adami mein 5 chezain na hon wo mufeed insan nahi Aqal, Deen, Adab, Haya, Khush akhlaqi.
- • Meri jang faqat Yazeed se hi nahi balkay har uss shakhs sey hay jis ka yazeedi kirdaar hai
- • Ghair ahl-e-fikr say behas-o-mubahisa asbaab-e-jihalat ki alamat hai (Behaar-ul-Anwaar V #78 Page # 117)
- • Agar kisi ko bhooka dekho tu yeh na samajhna k ALLAH key rizq main kami hoi hai balkay samajh lena k kisi zalim ney mazloom ka haq cheen liye
- • Jo tumhara dost hoga woo tumhain buraiyon se rokay ga or jo tumhara dushman hoga woo tumhen buraiyon per ubhare ga
- • Sab se behtar woo shaks hai jo aisey logon se acha sulok karey jin se usey koi umeed na ho
- • Insan ki fitrat us k chotay chotay kamon se zahir hoti hai khuy k bare kam wo hamesha soch samajh k hi kerta hai
- • Jan lo ALLAH apna unn bando ko bulnd tareen rutbe ate fermata hai jo zingadi main zaida sakhteon ko bardast karay
- • Imam Hussain as sey pocha gaya k jab kisi momin ki rooh ko nikala jata hai tu us ko takleef hoti hai ya nahi? Mola ney farmaya k nahi hoti. Phr Ap ney farmaya ! Khuda ki qasam jab mout ka farishta ata he tu farishta us se kehta he k aye ALLAH k dost daroo mat mein tu teray oper tere baap sey bi zaida mehrba hon aur apni ankhen khol ker dekho k tumhare samnay Rasool Pak, Ali, Fatima, Hassan, Hussain as aye huye hain. (Ref: Faroh-e-KafiJ# 1 )